July 5, 1954
Letter 20
Page 1 of 2

Page 2 of 2

URDU translation :
Aagra 5.7.54
om
Dear pyara Singh ji
Namaste . Eik kha pehlai bhi likha tha lekin koi jawab nahi aya. Aj Jhansi sai taar (*translates to phone call * ) aya hai . Jismai mujhai Pandharpur station janai kai liai order aya hai . Yai station puna sai bhi bohot agai hai , wahan par eik Maila (*Translates to fun fair*) hai jo kai 9/7/54 sai shoro hoga . Ismain hum logo ko janai kai liai likha gaya hai , Aur wahan par 15 ya 20 din rahai gain. wahan jakar khat likho ga, aisai wakt par ap sath hotai to bohot acha tha . Lekin is wakt phir *Unrecognized word in between my guess is "kaam"* zyada hai apka ana mushkil hoga aur dosra Main aj hi raat ko mumbai express sai ja raha ho . Pelai mumbai phir pona aur phir agai jaon ga . kisi kisam ka fikar na karein . wahan ja kar khat likho ga . bachon ko pyar sabko darja ba darja namaste.
Last edited by musharafmadiha9@gmail.com · April 12, 2026